Well Come To Zouq-E-Shaiyri

Well Come To Zouq-E-Shaiyri

Thursday, March 10, 2011

Famous Poetry

Dil Hai Ainaa-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Kii Raat
Gam-E-Dauran Main Hai Aks-E-Gam-E-Yaar Aaj Kii Raat

Aatish-E-Gul Ko Daaman Se Havaa Detii Hai
Diidanii Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahaar Aaj Kii Raat

Aaj Kii Raat Kaa Mahamaa Hai Malbuus-E-Hariir
Is Chaman-Zaar Main Ugate Hain Sharar Aaj Kii Raat

Main Ne Farahad Kii Aagosh Main Shiriain Dekhii
Main Ne Paravez Ko Dekhaa Sar-E-Daar Aaj Kii Raat

Jo Chaman Sarf-E-Khizaan Haain Vo Bulaate Hain Mujhe
Mujhe Fursat Nahe Ai Jaan-E-Bahaar Aaj Kii Raat

Dar-E-Yazadain Pe Bhii Jhukatii Nahiain Is Vaqt Jabiain
Mujh Se Ankhain Na Lara Aaj Kii Raat

Mashaal-E-Sher Kaa Laayaa Hun Charhavaa “Abid”
Jagamagaatain Haain Shahiidon Ke Mazaar Aaj Kii Raat



Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho

Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho

Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho

Ham Se Naam Junuun Kaa Qaayam, Ham Se Dasht Kii Aabaadii
Ham Se Dard Ka Shikvaa Karte, Ham Ko Zakhm Dikhaate Ho?






Dard Ke Phuul Bhii Khilate Hain

Dard Ke Phuul Bhii Khilate Hain Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhii Hon Kuchh Roz Men Bhar Jaate Hain

Raastaa Roke Khadii Hai Yahii Uljhan Kab Se
Ko_Ii Puuchhe To Kahen Kyaa Ki Kidhar Jaate Hain

Chhat Ki Khidakiyon Se Utarate Hain Mere Khvaab Magar
Merii Diivaaron Se Takaraa Ke Bikhar Jaate Hain

Narm Aavaaz Bhalii Baaten Mohazzab Lahaje
Pahalii Baarish Men Hii Ye Rang Utar Jaate Hain

Us Dariiche Men Bhii Ab Ko_Ii Nahiin Aur Ham Bhii
Sar Jhukaaye Huye Chup-Chaap Guzar Jaate Hain...



Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate Hain

Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Roze Main Bhar Jaate Hain

Us Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Nahi
Itne Roze Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate Hain

Nurm Aawaaz, Bholi Baatain, Mohazzab Lehjaa
Pehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate Hain

Raasta Roke Khari Hai, Wahi Uljhan Kab Se
Koi Puche To Kahen Kya Ke Kidhar Jaate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Roze Main Bhar Jaate Hain

Us Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Nahi
Itne Roze Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate Hain

Nurm Aawaaz, Bholi Baatain, Mohazzab Lehjaa
Pehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate Hain

Raasta Roke Khari Hai, Wahi Uljhan Kab Se
Koi Puche To Kahen Kya Ke Kidhar Jaate Hain




Yun Teri Rahguzar Se Diwana War Guzre

Yun Teri Rahguzar Se Diwana War Guzre
Kandhe Pe Apne Rakh K Apna Mazar Guzre

Baithe Rahe Hain Rasta Main Dil Ka Khandar Saja Kar
Shayad Isi Taraf Se Ek Din Bahar Guzre
...
Bahti Hui Ye Nadiya Ghulte Hue Kinare
Koi To Par Utre Koi To Par Guzare

Tu Ne Bhi Ham Ko Dekha Hamne Bhi Tujhko Dekha
Tu Dil Hi Har Guzra Ham Jan Har Guzre....



Puchte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai

Puchte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai
Rat Khairat K Sadqe Ki Sahar Hoti Hai

Sans Bharne Ko To Jina Nahin Kahte Ya Rab
Dil Hi Dukhta Hai Na Ab Asteen Tar Hoti Hai
...
Jaise Jagi Hui Ankhon Main Chubhen Kanch Ke Khwab
Rat Is Tarah Diwanon Ki Basar Hoti Hai

Gam Hi Dushman Hai Mera Gam Hi Ko Dil Dhundta Hai
Ek Lamhe Ki Judai Bhi Agar Hoti Hai

Ek Markaz Ki Talash Ek Bhatakti Khushbu
Kabhi Manzil Kabhi Tamhid-E-Safar Hoti Hai....!!!




Hum Apnay Dard Lafzon Ki Zubani Rakh Nahi Saqtay

Hum Apnay Dard Lafzon Ki Zubani Rakh Nahi Saqtay,
Qalam Ki Nok Par Koi Kahani Rakh Nahi Saqtay,

Muhabbat Kar To Saqtay Hain, Humara Almiya Hai Yeh,
K Hum Tawan Mein Apni Jawani Rakh Nahi Saqtay,
...
Humara Ishq Bala Hai Tumhari Soch Ki Had Se,
Koi Kangan Koi Chori Nishani Rakh Nahi Saqtay,

Muhabbat Kainati Sach Hai, Yeh Tasleem Hai Laikin,
Zameen Zaday Hain, Jazbay Asmaani Rakh Nahi Saqtay,

Humein Toh Zard Rut Ne Qaid Kar Rakha Hai Kuch Aise,
Koi Umeed Ankhon Mein Suhaani Rakh Nahi Saqtay,

Chalo Kuch Phool Le Ayein Nayi Khuwaish K Mousam Se,
Naye Dalaan Mein Yaadein Purani Rakh Nahi Saqtay,

Para Hai Wasta, “Amjad” Muhabbat K Yazeedon Se,
Yahan Hum Apni Ankhon Mein Bhi Pani Rakh Nahi Saqtay..!!!!





Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua

Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua
Main Na Acha Hua, Bura Na Hua

Jama Karte Ho Kyon Raqibon Ko
Ik Tamasha Hua Gila Na Hua

Ham Kahan Qismat Azmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Azma Na Hua

Kitne Shirin Hain Tere Lab K Raqib
Galiyan Khak Bemaza Na Hua

Hai Khabar Garm Un K Ane Ki
Aj Hi Ghar Mein Boriya Na Hua

Kya Wo Namard Ki Khudai Thi
Bandagi Mein Mera Bhala Na Hua

Jan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yun Hai K Haq Ada Na Hua

Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua

Rahzani Hai K Dilsitanee Hai
Lek Dil, Dilsitan Rawa Na Hua

Kuch To Parhiye K Log Kahte Hain
Aj ‘Ghalib’ Gazalsara Na Hua....





Ager Kuchh Naam Daina Ho

Ager Kuchh Naam Daina Ho
Mujhay Insaan Matt Kehna
Judaa Chehray, Juda Bay-Shak Sabhi Ke Kaam Hotay Hai’n
Magar Insaaniyat Ke Abb Yahaa’n Per Daam Hotay Hai’n
Mere Tum Daam Matt Dena
Mujhay Ye Naam Matt Daina
Agar Kuchh Naam Daina Ho
Mujhay Ehsaas Keh Daina
Magar Thehro!
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa
Mera Buss Naam Reh Jaay Mujhay Aisay Nahi’n Rehnaa
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa
Ager Kuchh Naam Daina Ho, Mujhay Saawan He Keh Daina
Magarr Thehro!
Mujhay Saawan Nahi’n Kehnaa
Barasta Hai Magar Rut Ke Badaltay Beet Jaata Hai
Mujhay Saawan Nahi’n Kehna
Ager Kuchh Naam Daina Ho, Mujhay Aansoo He Keh Daina
Janam Laina Kisi Ki Aankh Mai’n, Rukhsaar Per Marna
Yahi Jis Ki Haqeeqat Hai
Chalo Aansoo He Keh Daina.....





Kisi Ki Aankh Main Mujh Ko

Kisi Ki Aankh Main Mujh Ko
Kabhi Aanay Nahin Daina
Ke Qeematt Aansooon Ki Abb
Adaa Tum Se Nahin Ho Gee

Nahin…
Tum Yun Nahin Kehna
Mujhay Aansoo Nahin Kehnaa
Mujhay Aankhon Main Bastaa
Ik Haseen Sapnaa He Keh Daina
Ke Sapnay Aankh Main..

Taaron Ki Tarhaa Jhilmilaatay Hain
Magar Thehro!
Mujhay Sapnaa Nahin Kehnaa
Ke Sapnay Toot Jaatay Hain
Mujhay Apnaa Nahin Kehna
Ke Apnay Rooth Jaatay Hain