Well Come To Zouq-E-Shaiyri

Well Come To Zouq-E-Shaiyri

Aashar


tasalliyan, dilasay, khaloos, hamdardiyan.....
dil totnay ka bad tamashay buhat hue....


Tumhara shaher, tum hi madye, tum hi munsif.....
mujhy yaqeen ha mera hi qasoor nikle ga....


Wafa ki laaj may humko mana letay t0u acha tha...
ANAA ki jang may aksar judai jeet jati hai...


Mana shumaar taarOn ka karna muhaal hai...
Lekin kisi kO neend na aay tu kya karen...


Wo Tu Milta Hay Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz
Yeh DIL Hay Kitni Fursat Se Sochta Hay Usay...


Yaraan se Abbh Dil Uth Sa Gya Hai.....
Chall Phir se Tanhaiyon Ki Nagri Abaad kerte Hain...


Mujh ko dhoka da giya maira he Zouq-e-intakhab...
Der-haqeqat Log jo achay Na thay,, achay lagay...


Mere shikwon par os ne hans kar kaha janaaa...
kis ne ki tujhy se wafa jo hum karty....


~Phir itne mayous kyun ho u$ki bewafai per Faraz~*
*~Tum khud hi to kehte thay k wo sab se juda hay~


Bara naaz tha un ko apne parde pe ....
Kal raat woh khawab me sar-e-aam chale aaye.....



Kaisay Likhon Teray Hasen Chahry Ki Masal...
Kah Mairy Pas Lafz He Nahin Teri Taref K Liye...



Mujha Apnay Khalus Pay Atna Bharosa Hai...
Koi Mujhay Chor To Sakta Hai Mager Bhool Nahi Sakta...



Har Jurm Meri Zaat Say Mansoob Huwa Hai…
Kya Mere Siwa Shehr Mein Masoom Hain Saare…??



Wafa Ke Shehar Mien Qehat-e-Wafa Hai Shayed...
Hazaroon Fard hai Magar Koi apna Nhi Hai....



Kisi Ke Na Yaad Kerne Se Safr-e-Zindagi Katt To Jata Hai Zahid....
Magar Apnoon KaYoun Bhula Dena Qayamat se Kamm Nhi Hota....



Rishta woh shoq ka jo tha, shoq ki nazar ho gaya....
ab koi bey-wafa nahin, ab koi ba-wafa nahin....



Mere Sajdoon Ke Tasalsul Ko Tu Kya JAne Aye Dost....
Sir Jhukaya Teri Khushi Mangi...Hath Uthaya To Teri Zindagi Mangi...




Angan Men Ghane Paid K Niche Teri Yaaden...
Mela Sa Laga Deti Han Acha Nahi Kartin...



dil se Khayaal-e-yaar ko taale huye to hain...
ham jaan de ke dil ko sambhaale hue to hain...



Hum ne kabhi chaha tha aik aise shakhs ko Mohsin
Jo aaine se bhi nazuk tha magar tha pathar ka...



Main Jo badlon to taghayur ha meri zaat talak
Tu Jo badle to shab o roz badel jate hen...



me aaj tak hoon uss lamhy ki talaash me...
woh jo lamha meri talaash me kho gya...



Karna hi pare ga zabt e alm, peene hi parain gain ye aanso...
Faryda o fugaan se ae nadaan, tauheen e muhabbat hoti hai...



Gham na ker mere liye mai to houn pathar Qasid
Thokar khata houn to kuch aur nikhar jata houn...



Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta...




insaan apane aap mein majabuur hai bahut
koi nahin hai bewafaa afsos mat karo....




jab mere saare charaag-e-tamannaa havaa ke hain
jab mere saare Khwaab kisii bewafaa ke hain...



jo ye daur bewafaa hai tera Gam to mustaqil ho
wo hayaat-e-aashiqii kyaa jo davaam tak na pahunche...



mujhe mere mitane ka Ghum hai to ye hai
tumhein bewafaa kah rahaa hai zamaanaa...



Aik jaanib raah-e-haq hai, aur tanha hai safar
Doosri janib Zamana hum qadam ho jaaye ga...



Jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge,
Kya khoob! Qayaamat ka hai goya koee din aur...



Yun to har shaam ummidon pe guzar jaati thi
Aaj kuch baat hai jo shaam pe ronaa aayaa...



Woh daur se guzri hai daastane mohobbat hamari,
Lamhon ne khata ki thi, sadiyon ne saza paayi...




Maana ke is zameen ko na gulzaar kar sake,
kuch khaar kam kar gaye, guzre jidhar se hum...



kisi ki soch hooN na shamil-e-azkaar hooN meiN
nihal-e-dard pay bhi yak wajood-e-khaar hooN meiN...



do zamanoon mein musalsal hai humari zindagi
aik zamaa khawab ka hai dosra tabeer ka...



Suljha hua sa fard, smjhtay hain mujh ko log..
Uljha hua sa mujh mein, koi doosra bhi hai..



Nakaam-E-Ishq Hoon So Mera Dekhna Bhi Daikh
Kum Dekhta Hoon Aur Ghazab Dekhta Hoon Main...


Himat nahi hai k Daastaan-e-zindagi apni suna sakein
Mukhtasar suno jis ne bhi Loota Jee Bhar ker loot...


Ehsaas-o-murawat se na-aashna log
Ajeeb lagtay hain jab "Muhabbat" ki baat karty hain...


Mangi wazahatein na mangi koi daleel
dil ne to had hi kardi us pay aitbaar ki...


Hazaar chehron mein teri mushaabihat mili mujh ko
Par dil ki marzi hai agar tu nahi tou koi tujh sa bhi nahi...


Dabo do apni kashti ko kinaray dhoondnay walon
Yeh dariya-e-Mohabbat hai yahan sahil nahi hota...


Mausam-e-Ishq Jo Aaya To Qayamat Laaya
Phir Woh Mausam To Gaya Aur Qayamat Na Gayi...


Hum jab nibhaty hein to is tarha nibhaty hain
. "MOHABBAT"
Saans to toot sakti hai mager Daaman-e-yar nahi...


Main Jo Badlon To Taghayur Hai Meri Zaat Talak
Tu Jo Badlay To Shab-o-Roz Badal Jatay Hain...


Hanse wo lakh magar zabat e gham ki tehrerain,
Na chop sakain gi k chehra kitab jaisa hai.


Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi,
Na raas ayi humein roshani to kia ho ga...


Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera
Tumhare he liye rakha ha, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!

Reply

…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa ha, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!



uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker
MOHSIN wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha…...


Mohsin dil-e-gareeb ki wairaniya’n to daikh
kaisa nagar tha jo tere hatho’n ujar gaya..


Wo Mohabbaton K Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin…
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai..


Ae Hasrat_e_Deedar Ye Kya Raaz Hai Akhir
Wo Samnay Aatay Hain To Dekha Nhi Jata...


Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai…
Jan-Lewa hai La-hasil ki tammna karna....

No comments: